Shamim Jaipuri

go tahi-daman hun lekin gham nahin

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
go tahī-dāman huuñ lekin ġham nahīñ
tere dāman kā sahārā kam nahīñ
aaj hī ye baat ai hamdam nahīñ
ek muddat se koī aalam nahīñ
juz tire dil meñ kisī kā ġham nahīñ
tujh se itnā rābta bhī kam nahīñ
jab qadam uTThe to rukte haiñ kahīñ
aaj manzil hī nahīñ yā ham nahīñ
aañkh ham āshufta-hāloñ se milā.e
gardish-e-daurāñ meñ itnā dam nahīñ
donoñ aalam bhī muḳhālif hoñ to kyā
mutma.in huuñ maiñ ki tū barham nahīñ
dil meñ itnī bas chukī hai un kī yaad
vo bhulā bhī deñ to koī ġham nahīñ
ham se pūchho zabt-e-ġham kī lazzateñ
rone vāloñ ko shu.ūr-e-ġham nahīñ
ham se vo tark-e-ta.alluq kar chuke
aur phir un kī mohabbat kam nahīñ
apne apne ġham meñ hai har aadmī
aadmī ko aadmī kā ġham nahīñ
ahrman apnī jagah hai ahrman
fitrat-e-insāñ bhī lekin kam nahīñ
ġham hai is duniyā meñ jān-e-zindagī
zindagī meñ ġham na ho to ham nahīñ
aah anjām-e-ġham-e-dil ai 'shamīm'
ro rahā huuñ aur āñkheñ nam nahīñ
Top Urdushayar.com