Shamim Jaipuri

is iltifat par koi daman na tham le

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
is iltifāt par koī dāman na thaam le
hai maslahat yahī ki taġhāful se kaam le
kuchh der kī ḳhushī se to behtar hai ġham mujhe
merī taraf na dekh na merā salām le
maiñ bhī to terī bazm meñ aayā huuñ der se
ab tū bhī mujh se ho ke ḳhafā intiqām le
jī bhar ke pahle apnī nazar se pilā mujhe
varna ye mai-kada le surāhī le jaam le
merī nigāh-e-shauq pe phir kījiyo nazar
pahle zarā ḳhud apne kaleje ko thaam le
mahfil meñ sab ke sāmne dād-e-ġhazal na de
yuuñ dil hī dil meñ shauq se lutf-e-kalām le
jis ne kabhī ḳhulūs bhī māñgā na ho tirā
is ahl-e-dil kā naam ba-sad-ehtirām le
jiine na deñge dekhne vaale kabhī hameñ
achchhā ye hai ki jabr-e-mohabbat se kaam le
hai dekhnā hī merī taraf to ba-ehtiyāt
mahfil meñ pahle jā.eza-e-ḳhās-o-ām le
terā huuñ aur terā rahūñgā tamām umr
lekin mire liye na koī ittihām le
milnā nasīb meñ hai to mil jā.eñge kabhī
jān-e-'shamīm' sabr-o-tahammul se kaam le
Top Urdushayar.com