Shamim Jaipuri

ye daur-e-ahl-e-hawas hai karam se kaam na le

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
ye daur-e-ahl-e-havas hai karam se kaam na le
jafā se kaam le zālim vafā kā naam na le
gila sitam kā nahīñ mujh ko sirf ḳhauf ye hai
zamāna tujh se kahīñ merā intiqām na le
zamāna us ko mirī yaad ḳhud dilā degā
vo laakh mujh ko bhulā de vo merā naam na le
maza to jab hai ki ai sabr-o-zabt-e-ishq ik din
vo ḳhud salām kare jo mirā salām na le
na kar zarā bhī tavajjoh ḳhatā-e-dushman par
ik intiqām hai ye bhī ki intiqām na le
dil-e-tabāh jo honā thā vo to ho hī gayā
zamāna kuchh bhī kahe tū to un kā naam na le
vo kyā nigāh jo marhūn-e-jām hī rakkhe
vo haath kyā hai jo girte huoñ ko thaam na le
tirī nigāh se pī le jo ek baar ai dost
tamām umr vo phir mai-kashī kā naam na le
usī ke dar pe jhukā.e raheñge sar ko 'shamīm'
ye dekhnā hai vo kab tak karam se kaam na le
Top Urdushayar.com