Shamim Jaipuri

tera jalwa nihayat dil-nashin hai

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
tirā jalva nihāyat dil-nashīñ hai
mohabbat lekin is se bhī hasīñ hai
junūñ kī koī manzil hī nahīñ hai
yahāñ har gaam gām-e-avvalīñ hai
sunā hai yuuñ bhī akasr zikr un kā
ki jaise kuchh ta.alluq hī nahīñ hai
masīhā ban ke jo nikle the ghar se
lahū meñ tar unhīñ kī āstīñ hai
maiñ rāh-e-ishq kā tanhā musāfir
kise āvāz duuñ koī nahīñ hai
'shamīm' us ko kahīñ dekhā hai tum ne
sunā hai vo rag-e-jāñ se qarīñ hai
Top Urdushayar.com