safīna vo kabhī shāyān-e-sāhil ho nahīñ saktā
jo har tūfāñ se Takrāne ke qābil ho nahīñ saktā
guzar jaa.e jo ādāb-e-junūñ se terī mahfil meñ
vo dīvāna tirī mahfil ke qābil ho nahīñ saktā
havādis ke thapeḌoñ se ulajh tūfāñ se Takrā jā
ki ġham jab tak na ho insān kāmil ho nahīñ saktā
mujhe tuġhyāniyoñ se khelnā aatā hai hañs hañs kar
mirā azm-e-javāñ mamnūn-e-sāhil ho nahīñ saktā
'shamīm' is daur kā ye sañg-dil insāñ are tauba
ki jis se ehtirām-e-shīsha-e-dil ho nahīñ saktā