Shamim Jaipuri

furqat ki bhayanak raaton ko is tarah guzara karta hun

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
furqat kī bhayānak rātoñ ko is tarah guzārā kartā huuñ
dil mujh ko pukārā kartā hai maiñ tum ko pukārā kartā huuñ
ab un ke tasavvur se maiñ ne andāz-e-junūñ bhī siikh liye
har ḳhaar se bāteñ kartā huuñ har gul ko ishārā kartā huuñ
ye rañg-e-junūn-e-ishq hai kyā is rañg-e-junūñ ko kyā kahiye
maiñ jis se mohabbat kartā huuñ ḳhud us se kinārā kartā huuñ
ḳhāmosh fazā.eñ dekhtī haiñ yā chāñd sitāre sunte haiñ
jab yaad mujhe tum aate ho jab tum ko pukārā kartā huuñ
saaqī kī nigāh-e-mast mujhe jab yaad 'shamīm' aa jaatī hai
us vaqt hī apne taaq se maiñ shīshoñ ko utārā kartā huuñ
Top Urdushayar.com