Shamim Jaipuri

tere ahl-e-dard ke roz-o-shab isi kashmakash mein guzar gae

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
tire ahl-e-dard ke roz-o-shab isī kashmakash meñ guzar ga.e
kabhī ġham meñ Duub ke rah ga.e kabhī Dūbte hī ubhar ga.e
ye maqām-e-ishq hai kaun sā na shikāyateñ haiñ na shukriya
jo tire sitam pe nisār the vo tire karam se bhī Dar ga.e
sar-e-rāh dair-o-haram kahīñ jo mile bhī hoñ to ajab nahīñ
hameñ kyā ḳhabar tirī justujū meñ kahāñ kahāñ se guzar ga.e
haiñ vafā kī rāh-e-darāz meñ na.ī manzileñ na.e marhale
vo baneñge kyā mire ham-safar jo qadam qadam pe Thahar ga.e
jinheñ nāḳhudā se umiid thī unheñ nāḳhudā ne Dubo diyā
jo ulajh ke rah ga.e mauj se vo kabhī ke paar utar ga.e
jo kabhī sharāb-e-nashāt hai to hai zahr-e-ġham kabhī jaam meñ
hai ye zindagī koī zindagī abhī jī uThe abhī mar ga.e
vo nigāh kaisī nigāh thī ki 'shamīm' se vo na chhup sake
ye adā bhī qābil-e-dīd hai jo mile to bach ke guzar ga.e
Top Urdushayar.com