duniyā-e-mohabbat meñ ham se har apnā parāyā chhūT gayā
ab kyā hai jis par naaz kareñ ik dil thā vo bhī TuuT gayā
saaqī ke haath se mastī meñ jab koī sāġhar chhūT gayā
mai-ḳhāne meñ ye mahsūs huā har mai-kash kā dil TuuT gayā
jab dil ko sukūñ hī raas na ho phir kis se gila nākāmī kā
har baar kisī kā hāthoñ meñ aayā huā dāman chhūT gayā
sochā thā harīm-e-jānāñ meñ naġhma koī ham bhī chheḌ sakeñ
ummīd ne sāz-e-dil kā magar jo taar bhī chheḌā TuuT gayā
kyā shai thī kisī kī pahlī nazar kuchh is ke alāva yaad nahīñ
ik tiir sā dil meñ jaise lagā paivast huā aur TuuT gayā
is naġhma-tarāz-e-gulshan ne toḌā hai kuchh aisā sāz-e-dil
ik taar kahīñ se TuuT gayā ik taar kahīñ se TuuT gayā