Fitrat Ansari

ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920
ye nahīñ kasrat-e-ālām se jal jaate haiñ
dil tamannā-e-ḳhush-anjām se jal jaate haiñ
un se pūchhe koī mafhūm-e-hayāt-e-insāñ
maqbaroñ meñ jo diye shaam se jal jaate haiñ
zikr aatā hai mirā ahl-e-mohabbat meñ agar
mere ahbāb mire naam se jal jaate haiñ
sham.a jaltī hai to ro detī hai soz-e-ġham se
aur parvāne to ārām se jal jaate haiñ
sho.ala-e-barq se ham-rāh-e-nasheman aksar
gulistāñ gardish-e-ayyām se jal jaate haiñ
Top Urdushayar.com