husn-e-fitrat ke amiiñ qātil-e-kirdār na ban
shohrat-e-ġham ke liye raunaq-e-bāzār na ban
tārik-e-rasm-e-vafā aur gunahgār na ban
mahram-e-ishq hai to mahram-e-asrār na ban
apnī gardan pe machaltī huī talvār na ban
nañg-e-īmāñ hī sahī sūrat-e-inkār na ban
bad-gumānī ko mirī aur baḌhā detā hai
un kā ye kahnā ki dāman-kash-e-aġhyār na ban
rahrav-e-manzil-e-hastī huuñ maiñ ai yād-e-habīb
dhuup meñ mere liye sāya-e-dīvār na ban
dil ko takmīl-e-tamannā kā ishāra de kar
mujh se tū merī tamannā kā ḳharīdār na ban
terī manzil hai ġhubār-e-rah-arbāb-e-vafā
rahrav-e-rāh-e-talab qāfila-sālār na ban
jin ke dāman meñ tamannā ko sukūñ miltā hai
un kī nazroñ se mohabbat kā talabgār na ban
vo tirī mast-nigāhī kā uḌā leñge mazāq
ahl-e-dānish meñ kabhī bhuul ke hoshiyār na ban
ho na jaa.e kahīñ masdūd tirī rāh-e-talab
ai mirī lauh-e-jabīñ sañg-e-dar-e-yār na ban