Fitrat Ansari

baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920
ba.ad muddat ke ḳhayāl-e-mai-o-mīnā aayā
zindagī phir mujhe jiine kā qarīna aayā
har nafas ziist ke māthe pe pasīna aayā
ye bhī jiinā hai ki aisā hameñ jiinā aayā
kitne pahlū nazar aa jaa.eñ na jaane dil ke
ā.ina-sāz ke hāthoñ meñ nagīna aayā
phir sar-e-bazm koī jām-ba-kaf aatā hai
tark-e-tauba ke tasavvur pe pasīna aayā
tohamat-e-bāda-parastī kā sazā-vār huā
terā mai-kash jise do ghūñT na piinā aayā
chehra-e-vaqt se ulTī na ga.ī ham se naqāb
kaam apne na kabhī dīda-e-bīnā aayā
tishna-lab rakkhā tirī chashm-e-karam ne saaqī
jab mujhe bāda-parastī kā qarīna aayā
un kī āñkhoñ meñ chhalak aa.e haiñ aañsū 'fitrat'
mere dāman meñ umīdoñ kā ḳhazīna aayā
Top Urdushayar.com