tasavvur meñ jamāl-e-rū-e-tābāñ le ke chaltā huuñ
añdherī raah meñ sham-e-farozāñ le ke chaltā huuñ
shikasta-dil hujūm-e-yās-o-hirmāñ le ke chaltā huuñ
huzūr-e-husn maiñ ye sāz-o-sāmāñ le ke chaltā huuñ
unheñ shāyad yaqīñ aa jaa.e ab merī mohabbat kā
maiñ un ke rū-ba-rū chāk-e-garebāñ le ke chaltā huuñ
tumhārī yaad har ik gaam par mujh ko rulātī hai
agar dil meñ kabhī jiine kā armāñ le ke chaltā huuñ
Tapaktā hai lahū ehsās ke rañgīñ darīchoñ se
maiñ apne dil meñ jab yād-e-shahīdāñ le ke chaltā huuñ
use shāyad mirī ma.asūmiyat par rahm aa jaa.e
ḳhudā ke sāmne maiñ fard-e-isyāñ le ke chaltā huuñ
mujhe bhī apne ehsās-e-vafā ko āzmānā hai
ba-zo.am-e-ishq afkār-e-pareshāñ le ke chaltā huuñ
mirī ḳhuddār 'fitrat' kī ḳhudā hī aabrū rakkhe
ḳhizāñ ke daur meñ azm-e-bahārāñ le ke chaltā huuñ