Fitrat Ansari

nae jahan mein purani sharab le aae

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920
na.e jahāñ meñ purānī sharāb le aa.e
añdherī raat meñ ham āftāb le aa.e
mire yaqīn meñ gunjā.ish-e-dalīl nahīñ
javāz DhūñDne vaale kitāb le aa.e
paḌe the ek hī aalam meñ ahl-e-mai-ḳhāna
shikast-e-jām se ham inqalāb le aa.e
vo kāmyāb-e-mohabbat haiñ jo tire dar se
ḳhud apne aap ko nā-kāmyāb le aa.e
tamām umr jo chhāyā rahegā āñkhoñ meñ
tumhārī bazm se ham aisā ḳhvāb le aa.e
yahāñ to ek bhī ġham-āshnā nahīñ apnā
farishte mujh ko kahāñ be-naqāb le aa.e
hayāt-e-ishq meñ ham toḌ kar quyūd-e-vafā
kisī bhī taur sahī inqalāb le aa.e
vahī safīne jo tūfāñ-shanās the fitrat
sukūt-e-shahr meñ ik iztirāb le aa.e
Top Urdushayar.com