dāman-e-husn meñ har ashk-e-tamannā rakh do
diin kī raah meñ hañgāma-e-duniyā rakh do
zulm ke sāmne iḳhlās kā parda rakh do
nok-e-har-ḳhār pe barg-e-gul-e-ra.anā rakh do
apnī tārīḳh ke aurāq ulaTnā haiñ agar
gulshan-e-aish pe taptā huā sahrā rakh do
jis se vābasta rahe Dūbne vaale kī umiid
ek tinkā hī sahī tum lab-e-dariyā rakh do
tum jo chāho ki mire lab bhī na khulne paa.eñ
mere aage mirī taqdīr kā chehra rakh do
roz-e-raushan kī tarah hoñgī munavvar rāteñ
chand sho.ale jo sar-e-bazm-e-tamannā rakh do
ek āvāz sī aatī hai haram se shāyad
mai-kade vaalo zarā sāġhar-o-mīnā rakh do