zauq-e-nazar ko jalvā-e-be-tāb le gayā
ta.abīr ke nashāt ko ik ḳhvāb le gayā
mauj-e-subuk-ḳhirām kī tahrīk hī to thā
vo hausla jo mujh ko tah-e-āb le gayā
sar un kī bārgāh meñ jhuk to gayā magar
dil ābrū-e-mimbar-o-mehrāb le gayā
naġhmāt-e-dil fazā meñ bikharne na paa.e the
tār-e-nafas ko sadma-e-mizrāb le gayā
dil irtiqā-e-zehn kā hāsil to ho gayā
husn-e-yaqīñ ko ālam-e-asbāb le gayā
hairat-fishāniyāñ mujhe de to gayā magar
ā.īna zindagī kī tab-o-tāb le gayā
ham ne mahal banā.e the kuchh regzār par
jin ko bahā ke vaqt kā sailāb le gayā