Fitrat Ansari

intiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920
intiḳhāb-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhī nahīñ
koī ā.īna tirā aaj muqābil bhī nahīñ
kaun se gul kī ḳhabar bād-e-sahar laa.ī hai
sehn-e-gulshan meñ kahīñ shor-e-anādil bhī nahīñ
jaane ab kaun sī manzil meñ meñ arbāb-e-junūñ
duur tak dasht meñ āvāz-e-salāsil bhī nahīñ
tiir aate haiñ kamīñ-gāh se merī jānib
merī taqdīr meñ kyā jalva-e-qātil bhī nahīñ
tujh se aur chashm-e-tavajjoh kā gilā kyā ma.anī
terā fitrat tire iḳhlās ke qābil bhī nahīñ
Top Urdushayar.com