Fitrat Ansari

karam ke nam pe un ka itab chahte hain

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920
karam ke naam pe un kā itaab chāhte haiñ
nigāh-e-shauq ko ham kāmyāb chāhte haiñ
sukūn-e-dil meñ ġham-o-iztirāb chāhte haiñ
ham aise log bhī kyā inqalāb chāhte haiñ
chaman meñ ahd-e-bahārāñ kī aarzū kar ke
qafas-nasīb qafas par azaab chāhte haiñ
ye āzmā.ish-e-qalb-o-nazar ma.āz-allāh
tumhāre jalve ko ham be-naqāb chāhte haiñ
mujhe raqīb samajh kar jo mere mohsin haiñ
mirī nazar kā hasīñ intiḳhāb chāhte haiñ
jahāñ ḳhulūs-e-tijārat ke fan meñ Dhal jaa.e
ham aisī duniyā se ab ijtināb chāhte haiñ
ye ahl-e-husn kī fitrat ajiib fitrat hai
savāl karne se pahle javāb chāhte haiñ
Top Urdushayar.com