Fitrat Ansari

un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag

Fitrat Ansari

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1920
un kā manshā hai na phaile ḳhas-o-ḳhāshāk meñ aag
ātish-e-dil na lagā dīda-e-namnāk meñ aag
barq-e-ġham ban ke jo ehsās-e-nazar phūñk ga.ī
is qadar thī tire ik jumla-e-be-bāk meñ aag
sho.ala-e-mai kī navāzish hai to lag jā.egī
sāz-e-hastī ke har ik naġhma-e-nāpāk meñ aag
un ke āñgan meñ bhī añgāre baras jā.eñge
āh-e-sozāñ na lagā dāman-e-aflāk meñ aag
qāfile aur bhī manzil kī taraf aate haiñ
tum sar-e-rāh dabāo na abhī ḳhaak meñ aag
shukr hai us kī tamannā huī puurī yārab
tere dīvāne kī muddat se rahī taak meñ aag
chashm-e-fitrat se Tapaktā hai mohabbat kā jalāl
phail jaa.e na kahīñ ālam-e-idrāk meñ aag
Top Urdushayar.com