Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

sauda-e-gesu-e-siyah-e-yar ho gaya

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

saudā-e-gesū-e-siyah-e-yār ho gayā
āzād thā jo dil so giraftār ho gayā
majlis meñ jis taraf tirī tirchhī nazar paḌī
ik tiir thā ki toḌ ke saf paar ho gayā
sach hai ye hirs kartī hai insān ko ḳharāb
ġham khāyā is qadar ki maiñ bīmār ho gayā
dil ko qarār hai na to jaañ ko qarār hai
ye ishq hai ilāhī ki āzār ho gayā
anbā-e-jins se jo uThā.īñ aziyyateñ
sūrat se aadmī kī maiñ bezār ho gayā
sair-e-chaman ko yaar jo aayā to dekhnā
āñkhoñ meñ andalīb ke gul ḳhaar ho gayā
'ahqar' gila rahā na adāvat kā ġhair kī
jab yaar qatl karne pe tayyār ho gayā
Top Urdushayar.com