tumhārī zulf ke charche pareshāniyoñ meñ rahte haiñ
mirī dīvāngī ke zikr dīvānoñ meñ rahte haiñ
nahīñ parvā-e-īmāñ kāfirān-e-ishq ko hargiz
unheñ ka.aba se kyā matlab jo but-ḳhānoñ meñ rahte haiñ
talāsh us rashk-e-lailā kī jo rahtī hai hameñ har-dam
usī se qais ke mānind vo vīrānoñ meñ rahte haiñ
miyān-e-mahfil-e-ahbāb hai vo sham.a kī sūrat
ham us se lau lagā.e us ke parvānoñ meñ rahte haiñ
falak se baḌh ke rutba ho na kyuuñ kar qasr-e-jānāñ kā
malā.ek jis jagah adnā se darbānoñ meñ rahte haiñ
ajab hai nek sohbat kī na hotā sair insāñ meñ
mohazzab bante haiñ haivān jo insānoñ meñ rahte haiñ
na ho mazmūn aalī kyuuñ bhalā ash.ār 'ahqar' meñ
suḳhan-dānoñ se sohbat hai zabān-dānoñ meñ rahte haiñ