Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

KHush-rang hai gul se gul-e-ruKHsar tumhaara

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

ḳhush-rañg hai gul se gul-e-ruḳhsār tumhārā
raihāñ se sivā ḳhat hai numūdār tumhārā
matlūb ho tum dil hai talabgār tumhārā
ye aa.ina hai tishna-e-dīdār tumhārā
yūsuf ko kabhī muft bhī letī na 'zuleḳhā'
nazzāra jo kartī sar-e-bāzār tumhārā
dāman kā bhī bosa na liyā fart-e-adab se
ab tak nahīñ ye banda gunahgār tumhārā
garmī se jo ḳhurshīd-e-qayāmat kī jaleñge
yaad aa.egā ye sāya-e-dīvār tumhārā
ushshāq ke sajdoñ kā bhalā zikr hī kyā hai
hindū-o-musalmāñ hai parastār tumhārā
tuutī kī tarah kyuuñ na suḳhan-sanj ho 'ahqar'
hai sāmne ā.īna-e-ruḳhsār tumhārā
Top Urdushayar.com