naam se tere jo raushan matla-e-dīvāñ huā
har varaq ḳhurshed ke mānind nūr-afshāñ huā
terī hī qudrat se paidā hai zamīn-o-āsmāñ
ḳhaak kā putlā tajallī se tirī insāñ huā
tere abr-e-faiz se taaza hai bāġh-e-kā.enāt
kyā gul-e-ālam nasīm-e-fazl se ḳhandāñ huā
qadr rakhtā hai sulaimāñ se zyāda mor bhī
jo gadā darvāze kā tere huā sultāñ huā
yaad se terī dil-e-nāshād apnā shaad hai
zikr terā mere dard-e-fikr kā darmāñ huā
sar-bulandī meñ bhī mujh ko faḳhr kī daulat milī
allāh allāh kis qadar mujh par tirā ehsāñ huā
halqa-e-sāhab-e-dilāñ meñ terā 'ahqar' naam hai
ye samajh le chaak terā nāma-e-isyāñ huā