dikhāte haiñ adā kuchh bhī to aafat aa hī jaatī hai
sambhal kar laakh chalte haiñ qayāmat aa hī jaatī hai
mohabbat meñ haiñ sabr-o-shukr ke har-chand ham qaa.il
magar kuchh kuchh kabhī lab par shikāyat aa hī jaatī hai
jo sach pūchho to haiñ āshiq bhī pairav nāznīnoñ ke
badan meñ nā-tavānī se nazākat aa hī jaatī hai
majāz ik parda-e-idrāk hai to chashm-e-bīnā ko
kisī sūrat nazar shakl-e-haqīqat aa hī jaatī hai
nahīñ jazb-e-dil-e-āshiq se hai ma.ashūq ko chāra
agar bedard bhī ho to mohabbat aa hī jaatī hai
butān-e-sīm-tan ke vasl se ham faiz paate haiñ
vo aate haiñ to apne ghar meñ daulat aa hī jaatī hai
tire ash.ār-e-rañgīñ se bhalā farhat na ho 'ahqar'
ki in phūloñ se ḳhushbū-e-fasāhat aa hī jaatī hai