āh-o-nāla ne kuchh asar na kiyā
hijr kī shaam ko sahar na kiyā
talḳhī-e-sabr ḳhush-gavār huī
zahr ne bhī mujhe asar na kiyā
sar ko phoḌā jo kohkan ne to kyā
ishq meñ kis ne nazr-e-sar na kiyā
kaun sī aisī aafat aa.ī jab
āsmāñ ne mujhe sipar na kiyā
kāñptā hai vo dil ġhazab se tire
jis ne ai but ḳhudā kā Dar na kiyā
jis ne dekhā vo ro.e ātishnāk
phir gumāñ use ne barq par na kiyā
kuuch apnā bhī ho gayā 'ahqar'
ġham-o-andoh ne safar na kiyā