ai jaan husn-e-afsar-e-ḳhūbāñ tumhīñ to ho
maiñ ik gadā-e-ishq huuñ sultāñ tumhīñ to ho
pahūñchī hai āsmāñ pe tajallī jamāl kī
kahte haiñ log mehr-e-daraḳhshāñ tumhīñ to ho
sach sach ye kah rahā hai tanāsuḳh kā mas.ala
rūh-e-azīz-e-yūsuf-e-kan.āñ tumhīñ to ho
aage tumhāre sarv hai ġhairat se pā-ba-gul
sahn-e-chaman meñ sarv-e-ḳhirāmāñ tumhīñ to ho
har baat par bigaḌte ho rindoñ se shaiḳh-jī
saare jahāñ meñ ek musalmāñ tumhīñ to ho
dil merā le ke tum ne khilaunā banā liyā
duniyā meñ ek tiflak-e-nādāñ tumhīñ to ho
bātoñ meñ sehr chaal meñ mahshar nigah meñ qahr
sābit hai in se fitna-e-daurāñ tumhīñ to ho
dil de ke tum ko kyuuñ na kahūñ māya-e-hayāt
mere jigar tumhīñ ho mirī jaañ tumhīñ to ho
maddāh hoñ tumhāre na kis tarah haq-pasand
'ahqar' butoñ ke ek sanā-ḳhvāñ tumhīñ to ho