tālib ḳhudā se adl ke ḳhvāhāñ karam ke haiñ
mazlūm ham butoñ ke jafā-o-sitam ke haiñ
ummīdvār-e-jāh na tālib hasham ke haiñ
ham bādshāh kishvar-e-ishq-e-sanam ke haiñ
duniyā sarā hai ham haiñ musāfir Thahar ga.e
mulk-e-baqā se aa.e haiñ aazim adam ke haiñ
dil bhī jigar bhī jaan bhī siina bhī ishq meñ
ye sab makān sadma-o-dard-o-alam ke haiñ
tālib haiñ ganj-e-vasl ke ik samt meñ se ye
'ahqar' to aaj pher meñ gahrī raqam ke haiñ