kaam itne haiñ ki ārām nahīñ jānte haiñ
log ye sab se aham kaam nahīñ jānte haiñ
facebōk par haiñ mire jānñe vaale lākhoñ
mere ham-sā.e mirā naam nahīñ jānte haiñ
ishq meñ zehn ko taklīf na dī dil kī sunī
ham usī vāste anjām nahīñ jānte haiñ
hameñ bas itnā patā hai ki ḳhudā hotā hai
ham in aqsām kī aqsām nahīñ jānte haiñ
sab ne cigarette kī tarah muñh se lagā lī duniyā
hai nasha itnā ki anjām nahīñ jānte haiñ
de to sakte haiñ sabhī jaan ḳhudā kī ḳhātir
par ḳhudāvand ke ahkām nahīñ jānte haiñ
maiñ ki logoñ meñ bahut kam hī rahā huuñ 'zīshān'
is liye log mujhe aam nahīñ jānte haiñ