dīvār-o-dar the jaan sarā.e nikal ga.e
is baar sā.ebān se saa.e nikal ga.e
duniyā mushā.era hai so zaḳhmoñ kī daad ho
ham aa.e chand sher sunā.e nikal ga.e
ham apne dil ke shauq bhalā kab nikāleñge
tanḳhvāh meñ to sirf kirā.e nikal ga.e
jis ne amal kiyā use mahñgā bahut paḌā
fāriġh to de ke muft meñ raa.e nikal ga.e
āñkheñ jhapak rahā thā ki manzar badal gayā
kuchh rañg phuljaḌī meñ samā.e nikal ga.e