Zeeshaan sajid

tamannaen aziyyat ka nazara hum na kahte the

Zeeshaan sajid

Talagang, Punjab, Pakistan

1993
tamannā.eñ aziyyat kā nazāra ham na kahte the
ḳhasārā hai ḳhasārā hī ḳhasārā ham na kahte the
tumhārī intihā.eñ ant par be-sūd niklī haiñ
samundar jitnā gahrā utnā khārā ham na kahte the
na tū bandoñ se hai raazī na bande tujh se raazī haiñ
ḳhudā.ī rog hai parvardigārā ham na kahte the
ye maidān-e-tag-dau hai mashaqqat hī mashaqqat hai
vahī jītegā jo sau baar haarā ham na kahte the
ġhulāmī ko to āzādī samajhte haiñ yahāñ insāñ
ye hathkaḌiyoñ meñ kar leñge guzārā ham na kahte the
chunā thā tū ne jo rasta use ham tark kar aa.e
siyānoñ ko hai kaafī ik ishārā ham na kahte the
sabhī ne apne tinke bhī bil-āḳhir ḳhud uThā.e haiñ
nahīñ hogā yahāñ koī sahārā ham na kahte the
na 'zīshān' āgahī puurī huī umreñ huiiñ puurī
na hogā ilm kā koī kinārā ham na kahte the
Top Urdushayar.com