retīlī kitnī havā hai ird-gird
har nazar ik aa.ina hai ird-gird
hasratoñ kī sarzamīñ ḳhūñrez hai
ḳhvāhishoñ kī karbalā hai ird-gird
ik haqīqat haiñ mirī tanhā.iyāñ
ek ehsās-e-ḳhudā hai ird-gird
zindagī kachchā ghaḌā duniyā chanāb
tez-rau paanī chalā hai ird-gird
kyā ḳhabar kab kaun jiinā chhoḌ de
taak meñ kis kī qazā hai ird-gird
jitnī būḌhī ho ga.iiñ socheñ mirī
utnā ziyāda bachpanā hai ird-gird
dhuul hai bas dhuul 'zīshāñ' chār-samt
ek be-rasta dishā hai ird-gard