Zeeshaan sajid

ghubar-e-ishq se hasti ko bharne wala hun main

Zeeshaan sajid

Talagang, Punjab, Pakistan

1993
ġhubār-e-ishq se hastī ko bharne vaalā huuñ maiñ
ye raushnī to sar-e-chāk dharne vaalā huuñ maiñ
ḳhamīr-e-zauq tujhe manziloñ pe lā.egā
vufūr-e-shauq meñ jaañ se guzarne vaalā huuñ maiñ
ḳharāb kartī rahīñ mujh ko sañgateñ hī tirī
har ik bigāḌ pe samjhā sañvarne vaalā huuñ maiñ
kisī kī raa.e pe kab kaan dharne vaalā huuñ maiñ
ye umr apnī hī dhan meñ basarne vaalā huuñ maiñ
ḳhud apnī zaat se bāhar ho munqasim tum to
ḳhud apnī zaat ke andar bikharne vaalā huuñ maiñ
kisī taraf se tarāzū zarūr jhuktā hai so
kisī mafād meñ nuqsān karne vaalā huuñ maiñ
maiñ apne aap ko samjhā to merā ḳhauf gayā
ki log to ye samajhte the Darne vaalā huuñ maiñ
na aa sakeñge tire ḳhāl-o-ḳhad sar-e-manzar
na canvas meñ koī rañg bharne vaalā huuñ maiñ
hameñ ye maut judā kar na pā.egī 'zīshān'
vo titliyoñ meñ guloñ meñ ubharne vaalā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com