vaqt kī barf hai har taur pighalne vaalī
din bhī hai zer-e-safar shaam bhī Dhalne vaalī
ishq saa.e kī tarah saath chipak jaatā hai
ye balā to na kisī taur hai Talne vaalī
ham vo pahiye jo agar saath barābar na chale
ek meter bhī ye gaaḌī nahīñ chalne vaalī
ek dhaḌkā hai mire dil ko ḳhabardārī kā
ek ḳhvāhish hai mire zehn meñ palne vaalī
zard kah kar nazar-andāz kiyā thā jis ko
ab vahī shāḳh huī phūlne-phalne vaalī
hai ajab vaqt kī holī ki har ik chakkar par
suuī chehre pe nayā rañg hai malne vaalī
dā.era toḌā to hairat hī dar aa.ī 'zīshān'
ab ye hairat nahīñ andar se nikalne vaalī