Zeeshaan sajid

ye ishq ek imtihan to le main pas kar lun

Zeeshaan sajid

Talagang, Punjab, Pakistan

1993
ye ishq ik imtihān to le maiñ paas kar luuñ
hudūd huuñ to hudūd saarī cross kar luuñ
bahut kaThin mas.aloñ kī tahlīl bhī hai mumkin
agar maiñ ik mas.ale ke TukḌe pachās kar luuñ
tamām qudrat khaḌī hai imkāñ ke nazariye par
qadam uThāne se pahle sikke se toss kar luuñ
kisān khetoñ se ghar na jā paayā sochtā thā
ikaTThī pahle maiñ umr-bhar kī kapās kar luuñ
ye zindagī mumkināt kā ik harā shajar hai
koī to ummīd bāñdh luuñ koī aas kar luuñ
shujā.atoñ ke lageñge sab vāqi.āt jhūTe
maiñ ḳhud ko gar mubtalā-e-ḳhuaf-o-hirās kar luuñ
safar to kaT jā.egā magar kyā safar kaTegā
so apne hamrāh chand phūloñ kī baas kar luuñ
maiñ aañkh meñ muntaqil karūñ raushnī ko 'zīshān'
magar ye behtar hai dhuup kā in.ikās kar luuñ
Top Urdushayar.com