Zeeshaan sajid

hain kaam-kaj itne badan se lipaT gae

Zeeshaan sajid

Talagang, Punjab, Pakistan

1993
haiñ kām-kāj itne badan se lipaT ga.e
logoñ ke shahar-bhar se ravābit hī kaT ga.e
manzar the duur duur to kitne hasīn the
tasvīr zoom kī hai to pixel hī phaT ga.e
chehre jhulas chuke haiñ tamāshā-e-ishq meñ
ai ishq kis tarah tire me.aar ghaT ga.e
maiñ ḳhvāb ḳhāmushī mirā saaya hue haiñ jam.a
jab log apne apne girohoñ meñ baT ga.e
qudrat kā canvas na mukammal dikhā.ī de
kitne hī rañg merī nigāhoñ se haT ga.e
ik zahr hai samāj ke andar bharā huā
itnī samog hai ki tanaffus ulaT ga.e
āñkheñ bhulā chukī haiñ ḳhad-o-ḳhāl-e-raushnī
bādal to āsmān se kab ke haiñ chhaT ga.e
'zīshān' use ḳhayāl meñ rakkhā thā mustaqil
āhistagī se baaqī ḳhayālāt haT ga.e
Top Urdushayar.com