juḌ jaa.eñ tasāvīr to ban jaa.e kahānī
lamhāt ikaTThe hoñ to kahlā.e kahānī
marnā hī haqīqat hai to phir zindagī kyā hai
ye dhuup kī shiddat ye ghane saa.e kahānī
sab camere taqdīr kī jānib hī muḌe haiñ
koī mirī mehnat pe bhī filmā.e kahānī
ik dā.ere meñ ghūmtī hai soī ghaḌī kī
har baar zamāna vahī dohrā.e kahānī
ham se to ye hālāt kī parteñ nahīñ khultīñ
har ek kahānī meñ nazar aa.e kahānī
kahte haiñ tag-o-dau meñ madad kartā hai rab ḳhud
haare hue kirdār ko jitvā.e kahānī
manzar kī tarañgoñ meñ vo gahrā.ī hai 'zīshān'
mujh ko to har ik aks nazar aa.e kahānī