tumhāre ba.ad tumhī tum rahe ho āñkhoñ meñ
tumhārī to mire ḳhvāboñ talak rasā.ī rahī
sab ās-pās the lekin nazar nahīñ aa.e
ta.alluqāt pe itnī smog chhā.ī rahī
tirī ḳhudā.ī ko ham dekh hī nahīñ paa.e
ki ham pe to tire bandoñ hī kī ḳhudā.ī rahī
safar kaTe ki nahīñ naqsh-e-pā rahe lekin
ḳhayāl-o-ḳhvāb rahe rañgat-e-hinā.ī rahī
ye kaisā ḳhvāb thā 'zīshān' zindagī apnī
ye kaisī dhun mire chāroñ taraf samā.ī rahī