Zeeshaan sajid

kab tak wo mohabbat ko nibhata nazar aata

Zeeshaan sajid

Talagang, Punjab, Pakistan

1993
kab tak vo mohabbat ko nibhātā nazar aatā
ab maiñ bhī nahīñ jaan se jaatā nazar aatā
tum to mirī har samt havāoñ kī tarah ho
mausam koī furqat kā jo aatā nazar aatā
hai raushnī itnī ki dikhā.ī hī na kuchh de
varna hameñ is taaq meñ daatā nazar aatā
chaltī zarā tezī se havā to maiñ patañgeñ
kuchh aur bulandī pe uḌātā nazar aatā
manzar meñ tajassus hai na jaadū na kashish hai
hote to ye vo ḳhvāb dikhātā nazar aatā
maiñ vaqt kī suuī se bañdhā rahtā huuñ varna
sahrā meñ bahut ret uḌātā nazar aatā
aao zarā is samt se dekho vo zamīñ hai
har ek hai duuje ko miTātā nazar aatā
'zīshān' butoñ meñ jo koī zindagī hotī
maiñ sab se zabardast banātā nazar aatā
Top Urdushayar.com