jal-parī hai to vo tasḳhīr bhī ho saktī hai
ḳhvāb hotā hai to ta.abīr bhī ho saktī hai
zindagī ko zarā shatranj samajh kar dekho
mere jhuk jaane meñ tadbīr bhī ho saktī hai
mas.ale mujh ko miTāne hī kā sāmān nahīñ
mas.aloñ se mirī ta.amīr bhī ho saktī hai
yaar ma.alūm havā hai ki ḳhalā ḳhālī nahīñ
raat ā.īne meñ tasvīr bhī ho saktī hai
zindagī film nahīñ jis kā ho anjām hasīñ
sūrat-e-hāl ye gambhīr bhī ho saktī hai
is se behtar hai ki ham sāmne laa.eñ ulfat
kuchh nahīñ hone kī tash.hīr bhī ho saktī hai
zimmedārī bhī dafātir meñ taraqqī se baḌhe
aap kī tie to zanjīr bhī ho saktī hai
saare jaale haiñ vajūhāt ke jaale lekin
ye jo makḌī hai ye taqdīr bhī ho saktī hai
vaqt ke saath nikhar jaatā hai taḳhlīq kā fan
shām-e-'zīshān' shab-e-'mīr' bhī ho saktī hai