zard pattoñ pe mirā naam likhā hai us ne
sabz ḳhvāboñ kā ye anjām likhā hai us ne
koī miltā nahīñ jo paḌh ke sunā de mujh ko
barg-e-gul par koī paiġhām likhā hai us ne
sach hai tanhā.ī meñ insān sanak jaatā hai
roz-e-raushan ko siyah-fām likhā hai us ne
mehr-o-mah diip huā abr samundar ḳhushbū
kis kī taqdīr meñ ārām likhā hai us ne
sar uchhalte haiñ zabāñ kaTtī hai jis meñ 'anjum'
mere zimme vahī ik kaam likhā hai us ne