tū kahāñ hai mujhe o ḳhvāb dikhāne vaale
aa ki dikhlā.ūñ tujhe maiñ tire va.adoñ kī kitāb
yaad haiñ tujh ko vo mahke hue rañgīn ḳhutūt
kis qadar pyaar se laatī thiiñ nisāboñ kī kitāb
ab koī ḳhvāb meñ dekhūñ kahāñ fursat hai mujhe
merī be-ḳhvāb nigāhoñ meñ hai yādoñ kī kitāb
ye to mumkin hai bayāñ hijr kī rūdād karūñ
hai kise taab sune ġham ke hisāboñ kī kitāb
maiñ ne aate hue har chiiz sameTī thī magar
bhuul aayā huuñ kisī taaq pe ḳhvāboñ kī kitāb