Tabish Kanpuri

teri surat nigahon mein phirti rahe ishq tera satae to main kya karun

Tabish Kanpuri

terī sūrat nigāhoñ meñ phirtī rahe ishq terā satā.e to maiñ kyā karūñ
koī itnā to aa kar batā de mujhe jab tirī yaad aa.e to maiñ kyā karūñ
maiñ ne ḳhāk-e-nasheman ko bose diye aur ye kah ke bhī dil ko samjhā liyā
āshiyāna banānā mirā kaam thā koī bijlī girā.e to maiñ kyā karūñ
maiñ ne māñgī thī ye masjidoñ meñ duā maiñ jise chāhtā huuñ vo mujh ko mile
jo mirā farz thā maiñ ne puurā kiyā ab ḳhudā hī na chāhe to maiñ kyā karūñ
shauq piine kā mujh ko ziyāda na thā tark-e-tauba kā koī irāda na thā
maiñ sharābī nahīñ mujh ko tohmat na do vo nazar se pilā.e to maiñ kyā karūñ
husn aur ishq donoñ meñ tafrīq hai par inhīñ donoñ pe merā īmān hai
gar ḳhudā ruuTh jaa.e to sajde karūñ aur sanam ruuTh jaa.e to maiñ kyā karūñ
chashm-e-sāqī se piine ko maiñ jo gayā pārsā.ī kā merī bharam khul gayā
ban rahā hai jahāñ meñ tamāshā mirā hosh mujh ko na aa.e to maiñ kyā karūñ
Top Urdushayar.com