Rashid Mufti

aur zara kaj meri kulah to hoti

Rashid Mufti

Moradabad, Uttar pradesh, India

1945
aur zarā kaj mirī kulāh to hotī
zaat se bāhar kahīñ panāh to hotī
mujh ko agar zindagī ne kuchh na diyā thā
mere shab-o-roz kī gavāh to hotī
kho ga.ī manzil to ḳhair gard-e-safar meñ
jis pe maiñ chaltā rahā vo raah to hotī
ḳhauf-zada kaash koī mujh ko bhī rakhtā
mere liye bhī kahīñ panāh to hotī
lamha-e-maujūd dastaras meñ na hotā
lamha-e-maujūd par nigāh to hotī
aur mujhe ḳhalq se umiid hī kyā thī
merī nahīñ terī ḳhair-ḳhvāh to hotī
apne charāġhoñ kī taab dekhte ham bhī
raat tire hijr kī siyāh to hotī
us ne mujhe kar diyā ḳharāb to kyā hai
yuuñ bhī mirī zindagī tabāh to hotī
shahar se nisbat bhī kuchh nikāl hī lete
shahar ke logoñ se rasm-o-rāh to hotī
ḳhaak pe sonā hameñ qubūl thā 'rāshid'
ḳhaak pe kuchh raunaq-e-giyāh to hotī
Top Urdushayar.com