Rashid Mufti

kisi ki jit ka sadma kisi ki mat ka bojh

Rashid Mufti

Moradabad, Uttar pradesh, India

1945
kisī kī jiit kā sadma kisī kī maat kā bojh
kahāñ tak aur uThā.eñ ta.alluqāt kā bojh
anā kā bojh bhī aayā usī ke hisse meñ
bahut hai jis ke uThāne ko apnī zaat kā bojh
jhaTak diyā hai kabhī sar se bār-e-hastī bhī
uThā liyā hai kabhī sar pe kā.enāt kā bojh
abhī se aaj ke din kā hisāb kyā ma.anī
abhī to zehn pe baaqī hai kal kī raat kā bojh
yahī na ho maiñ kisī din kuchal ke rah jā.ūñ
ubhārtā hai bahut zaat ko sifāt kā bojh
paḌā thā saaya bas ik baar dast-e-shafqat kā
so ab ye sar hai mirā aur kisī ke haath kā bojh
abhī do chaar na kar hijr kī aziyyat se
abhī to maiñ ne uThāyā hai tere saath kā bojh
Top Urdushayar.com