Rashid Mufti

ab kya gila ki ruh ko khilne nahin diya

Rashid Mufti

Moradabad, Uttar pradesh, India

1945
ab kyā gila ki ruuh ko khilne nahīñ diyā
us ne to mujh ko ḳhaak meñ milne nahīñ diyā
koshish havā ne raat bhar apnī sī kī magar
zanjīr-e-dar ko maiñ ne hī hilne nahīñ diyā
ik baar us se baat to maiñ kar ke dekh luuñ
itnā bhī aasrā mujhe dil ne nahīñ diyā
kartā vo apne aap ko kyā mujh pe munkashif
us ne to mujh se bhī mujhe milne nahīñ diyā
qaa.em nahīñ rahā faqat apnī hī baat par
apnī jagah se mujh ko bhī milne nahīñ diyā
āḳhir koī subūt to ho be-gunāhī kā
dāman ko is ḳhayāl ne silne nahīñ diyā
'rāshid' havā se maañg ke kyuuñ sharmsār ho
jo tum ko āb-o-ātish-o-gil ne nahīñ diyā
Top Urdushayar.com