Rashid Mufti

hawa ke lams se bhaDka bhi hun main

Rashid Mufti

Moradabad, Uttar pradesh, India

1945
havā ke lams se bhaḌkā bhī huuñ maiñ
sharāra hī nahīñ shola bhī huuñ maiñ
vo jin kī aañkh kā taara bhī huuñ maiñ
un hī ke paañv kā chhālā bhī huuñ maiñ
akahrā hai mirā pairāhan-e-zāt
burā huuñ yā bhalā jaisā bhī huuñ maiñ
havā ne chhīn lī hai merī ḳhushbū
misāl-e-gul agar mahkā bhī huuñ maiñ
mire raste meñ haa.il hai jo dīvār
usī ke saa.e meñ baiThā bhī huuñ maiñ
taras jaatā huuñ jis ke dekhne ko
usī ik shaḳhs se bachtā bhī huuñ maiñ
maiñ jin logoñ kī sūrat se huuñ be-zār
unhī meñ raat din rahtā bhī huuñ maiñ
jo merī ḳhush-libāsī ke haiñ qaa.el
un hī ke sāmne nañgā bhī huuñ maiñ
sarāsar jhuuT hai jo baat merī
usī ik baat meñ sachchā bhī huuñ maiñ
agarche fitratan kam-go huuñ phir bhī
jo sach pūchho to kuchh bantā bhī huuñ maiñ
bahut is shahr meñ rusvā huuñ 'rāshid'
magar kyā vāqa.ī aisā bhī huuñ maiñ
Top Urdushayar.com