bhale hī mirā hausla past hotā
muqābil to koī zabardast hotā
guzārā to pahle bhī kartā hī thā maiñ
mazā jab thā bilkul tahī-dast hotā
tirī dast-gīrī kahāñ aur kahāñ maiñ
tirā aasrā hī sar-e-dast hotā
maiñ phūTā thā jis shāḳh par ban ke koñpal
usī shāḳh meñ kaash paivast hotā
gilass ek thā piine vaale ka.ī the
to kyā muntaqil dast-dar-dast hotā
kahīñ ham ko be-daḳhl kar de na koī
nahīñ ham se ghar kā dar-o-bast hotā
tumhī ho jo laa.e ho mujh ko yahāñ tak
na tum niich hote na maiñ past hotā
kahā tū ne maanā na afsos apnā!
bulandī pe 'rāshid' ba-yak-jast hotā