tere hāthoñ jo sar-afrāz hue
ham se kis baat meñ mumtāz hue
kyā vo dastak se na khul sakte the
ham pe Thokar se jo dar baaz hue
shaam tak un kā nishāñ bhī na rahā
sub.h jo mahv-e-tag-o-tāz hue
kyā baneñge vo kisī ke hamrāz!
ḳhud jo apne liye ik raaz hue
kyā tamasḳhur hai ki 'rāshid' ham bhī
kuchh na hone se suḳhan-sāz hue