vo jo ḳhud apne badan ko sā.ebāñ kartā nahīñ
kyuuñ na pachhtā.e ki saaya āsmāñ kartā nahīñ
jaane kyuuñ ik dūsre ke log haiñ shikva-guzār
kaun kis ke hausloñ kā imtihāñ kartā nahīñ
kuchh nahīñ khultā ki āḳhir kyā kahānī hai jise
log sunñā chāhte haiñ maiñ bayāñ kartā nahīñ
us se milte vaqt tujh ko saath rakhkhūñ kis tarah
maiñ to apne-āp ko bhī darmiyāñ kartā nahīñ
merī peshānī pe apnī mohr kar detī haiñ sabt
nasb jin rāhoñ pe meñ apnā nishāñ kartā nahīñ
mujh meñ aur ham-peshgāñ meñ bas yahī ik farq hai
maañg hai jis maal kī zeb-e-dukāñ kartā nahīñ
sarf patvāroñ ke bal par paar kyā utregā vo
in havāoñ meñ jo ūñchā bādbāñ kartā nahīñ
hech hai sab kī nazar meñ dekhnā 'rāshid' vo shaḳhs
apne baare meñ jo ḳhud koī gumāñ kartā nahīñ