duniyā meñ hai yuuñ to kaun be-ġham
pūchhe koī kyuuñ udaas haiñ ham
kyā shahr ke bāsiyoñ ko ma.alūm
karte haiñ ġhazāl kis tarah ram
karte rahe umr bhar vazāhat
par rah ga.ī baat phir bhī mub.ham
shikva to hai dūsroñ se lekin
nārāz haiñ apne aap se ham
har saañs ke saath kar rahe haiñ
guzrī huī zindagī kā mātam
auroñ kī nazar meñ kyā samāte
ḳhud aap ko bhī jache nahīñ ham
'rāshid' vo ġhazal koī ġhazal hai
gaa.e na jise 'farīda-ḳhānam'