haath se chhū kar ye niilā āsmāñ bhī dekhte
jo ufuq ke paar haiñ vo bastiyāñ bhī dekhte
mutma.in haiñ jo bahut khulte darīche dekh kar
vo kisī din band hotī khiḌkiyāñ bhī dekhte
is ḳharābe meñ bhī mumkin hai koī ābād ho
ik nazar andar se ye ujḌā makāñ bhī dekhte
aaj jis tan par nazar aatī hai zaḳhmoñ kī qabā
kal usī tan par libās-e-parniyāñ bhī dekhte
sirf aḳhbāroñ kī surḳhī tak rahī jin kī nazar
kaash vo chehroñ pe likkhī dāstāñ bhī dekhte
khīñch laa.ī hai jinheñ is dar pe sho.aloñ kī tapish
kaash vo is ghar pe mañDlātā dhuāñ bhī dekhte
zaḳhm siine par to 'rāshid' sah liyā ham ne magar
tiir ye jis se chalā thā vo kamāñ bhī dekhte